ek chai ki tapri pe gaya tha six months ago. ek baar. sirf ek baar. aur uske baad us area me kabhi wapas nahi gaya.
aaj itne mahino baad wapas pahuncha. andar ghusa hi tha ki uncle ne upar dekha aur seedha bol diya "kadak, kam patti, bina elaichi ke, sahi hai na?"
maine ek shabd nahi bola tha. woh khud bata raha tha mera order. exact. har detail sahi.
aur sach bataun toh mujhe khud yaad nahi ki maine use pehli baar itni detail me kuch bataya bhi tha. kadak, kam patti, bina elaichi. six mahine baad, ek visit ke baad, banda hubahu yaad rakhe hue hai. ye log ka dimaag kis cheez ka bana hai bhai.